Sunday 2 March 2014

dominican republic men haitain logon ke khilaaf insaani haquq ka krur ullanghan

ek mahine pehle mein bhaashan-vaartaalaap ko gayi. ye Haitian log aur domincan logon ke bic virodh ke bare men thaa. ab agar Haitian hai jo Dominican republic men rehta hai, vo Haiti ko bheja hai. par samasyaa ye hai ki ye log Dominican republic men aksar kai naslon ke liye rehte aate the. atah ve Haitian-Dominicans hain - sirf Spanish bolte hain, Dominican khaana aur sanskriti jante hain; Haitian creole ya Haitian sanskriti ke bare men kuch bhi nahi jante hain. to jab Haiti ko bheje hain, vaha unka na parivar hai, na ghar. ye ek bahut buri samasya hai aur insaani haquq ke khilaaf aparaadh hai. sarkaar Dominican republic men yahi kar rahi hai kyonki Haitian-Dominican neta us desh men sattaa men aa rahaa hai, to vo log jo us ka intikhaab kar sakte hain, un ko desh ke baahar nikaal rahi hai.

Thursday 27 February 2014

arey yeh daurna to mujhe bhi bahut acha lagta hai. aur sach baat yeh hai ke yoga bahut boring lagta hai. sab kuch ruk jata hai. aur sab se boring baat yoga ki yehi lagti hai. yoga un logo ke liye acha hai jo zara hyper hain. arey yaar main to bahot laid-back aadmi hun. is liye yoga mujh ko aur zyada laid-back bana deta hai aur phir main kuch nahi karunga. lekin ek aur mushkil hai, SUBAH. main kya karun yeh subah ki kasrat bari takleefdeh hai. main ne bataaya na ke main laid-back hun to subah ko main apne din ki shuruaat bahot dheerey dheerey karta hun. araam se. to yeh running ya kisi bhi tarah ki exercise karne ke liye shaam ya raat ka samay acha hai. jab main chota tha to mere chacha mujh ko swimming ke liye ek nadi par le jaatey they. us nadi ka naam GOMTI hai. yeh Lucknow me hai. chacha ko subah swimming karne ka shoq tha aur mujh ko subah sone ka shoq tha. lekin chacha to badey they aur bachon ko badon ka hukm manna padta hai. is liye main swimming karne jaata tha. lekin jab main bada ho gaya to main shaam ko swimming karta tha. swimming pool me raat ko swimming karna acha lagta hai.
Yeh hai GOMTI RIVER aur is ghaat (riverbank) ka naam hai KULIYA GHAAT. main yaha swimming karta tha.

Wednesday 19 February 2014

Accepted Hu

Kal mujhe ek email bheja tha. Email ka vishey 'PhD Admissions 2014' tha, aur email khol kar mai ne para ki 'Andrew ji, mujhe yeh bolna accha lagta hai ki aap Divinity PhD karyakram me accepted hain.' Yeh par kar mujhe vichar ayi 'Mujhe is saal ki kam karna nahi hai!' Agar mai accepted chuka hu to abhi mai kissi impress karne ki koshish nahi kar raha hu. Mai mukt hu. Agar koi shikshak mere transcript par 'F' likhte hai, koi bat nahi. Koi mujhe par chot nahi laga sakta hai. Mai Dr. Kunze ban jaunga.

(Timsal bhai, yeh sab bakvas hai. Is par koi vishvas mat rakho.)

Yayayayayayaaaaaaa!!!!

Tuesday 18 February 2014

Swarajy, vastav me

Mujhe aaj ke Prem Chand ki kahani pasand aaya. Aur Smita ka varnan ki Prem Chand ka bhumika kaisa tha aur us samay ki Hindustani rajniti kaisa tha, yeh sab sun kar kahani aur bhi pasand tha. Visheshkar, mujhe yeh pasand tha ki Prem Chand ki raay me aam aadmi ke hindu swarajy- gauv me, panchayat se- sarkar ke sabse gambhir aur mahatvapurn kam hai. Mai manzur hu. Aur is kahani me Prem Chand khub ashavan (hopeful?) hai ki gauv walo ko malum hoga (mukhya patro ke jaise) ki panchayat ka faisal kitna gambhir hai. Mai kabhi kabhi apne gauv ke sarkar me kam karta hu. Aur (dukh hai, lekin sach hai ki) aam taur par gauv walo ko staniya sarkar ke faisalo ko dhyan rakhte nahi. 

Monday 17 February 2014

'The Hindus' vs. The Hindus

Hamare shikshak, Wendy Doniger, ki kitab, 'The Hindus,' Hindustan me pratibandhit hai! Kitni dilchasp hai, yeh bat. Wendy aur UChicago ki ucchi pad ke kaarn (meri ray me) Western media (NY Times, BBC, etc) is ghatne se ek bara misal bana rahe hai ki 'Hindustan me kitne dharmik censorship hoga,' aur 'Hindutva rajnete kitne shakti hoge.' Aur yeh thik hai. Lagbag sach hai. Lekin mujhe lagtaa hai ki is Hindustani censorship batchit ke sath Ameriki censorship ke vishey bolna bhi zaruri hai. Bolte bolte hai ki 'Bakvas hai ki Hindutva log kitab pratibandh karte hai!' shayad ham bhul jate hai ki Europe aur Amerika me, itihas mai sur aajkal bhi, Isai log aksar kitab pratibandh karte hai (aur jalate hai aur 'pulp' karte hai). To mera arth yeh hai ki ha, censorship ek bara samasya hai, lekin sirf Hindustan ke liye nahi, pure duniya ke liye, Amerika ke liye bhi. 

Sathya.

Mere dost, aaj mujhe ek mahan sathya ka ehsas ho gaya hai: hum sab ek "snow globe" mein rehte hain. Soch lijiye - kuch dinon ke liye barf girti hai, aur zameen bilkul safed ho jati hai. Lekin jab bhi dhoop ata hai aur sadak ka kala rang thoda sa dikta hai, tab koi na koi is "snow globe" ko hilata hai taaki phir se har jagah, hava mein aur zameen par, barf hi dikta hai. Uffo...

Thursday 13 February 2014

Ramayana parne me

Aajkal, Prof Doniger class ke liye, mai Valmiki ka Ramayana par raha hu. Is hafte meri vishesh dilchaspi Rama aur Valin (bandar wala) batchit me hai. Ram Valin par tir chalane ke bad, Valin Ram se kahete hai ki "Aapko mujhe marna nahi tha." Valin ki ray me kharab tha ki chipte hue Ram ne bhai (Sugreev) se larai karte hue Valin par tir chalaa. Lekin Ram kahete hai ki "Is me koi galat nahi hai. Kyoki mai raja hu aur chipte hue raja janvar ko shikar khel sakte hai. Fir bhi (Ram ki ray me) Valin bahut adharmik bandar hai kyoki unki bhai ki patni se pyar karte hai.

Meri ray me Ram ne galat kiya. Vastav me Sugreev thora sa bhrusht raja hai, aur Valin lagbag thik raja hai.