Sunday 2 March 2014

dominican republic men haitain logon ke khilaaf insaani haquq ka krur ullanghan

ek mahine pehle mein bhaashan-vaartaalaap ko gayi. ye Haitian log aur domincan logon ke bic virodh ke bare men thaa. ab agar Haitian hai jo Dominican republic men rehta hai, vo Haiti ko bheja hai. par samasyaa ye hai ki ye log Dominican republic men aksar kai naslon ke liye rehte aate the. atah ve Haitian-Dominicans hain - sirf Spanish bolte hain, Dominican khaana aur sanskriti jante hain; Haitian creole ya Haitian sanskriti ke bare men kuch bhi nahi jante hain. to jab Haiti ko bheje hain, vaha unka na parivar hai, na ghar. ye ek bahut buri samasya hai aur insaani haquq ke khilaaf aparaadh hai. sarkaar Dominican republic men yahi kar rahi hai kyonki Haitian-Dominican neta us desh men sattaa men aa rahaa hai, to vo log jo us ka intikhaab kar sakte hain, un ko desh ke baahar nikaal rahi hai.

No comments:

Post a Comment