Saturday 1 February 2014

Ek Aur Kahani...

Shayad aap ko pata hain ki mein mughal rajye ko BAHUT pasand karta hoon; isliye is post main ek aur kahani bataunga, mughal rajya ke bare mein.

1653 mein Badshah Shah Jahan ne unki bibi (Mumtaz Mahal) ki yaad mein ek shandar samadhi banaya jiska naam hai "Taj Mahal". Lekin jab Taj Mahal ka banavat khatam hua tha, tab Shah Jahan ka beta (Aurangzeb) Shah Jahan ko jel main phenka kyonki Aurangzeb  Mughal Rajya ka naya badshah banna chahta tha. Dheere dheere jel main Shah Jahan bimar hue aur 1666 main mar gaye.

Jab itihaskaron ne Shah Jahan ke diaries padhen, unko pata chal gaye ki Shah Jahan ke aur irade the - Un diaries mein ulekh kiya hai ki Shah Jahan ek "Kala Taj" Taj Mahal ke samne banana chahte the taaki unke maut ke bad apne maqbare mein dafan ho sakte. Itihaskaron ne socha ki yeh in badshah ke irade the lekin is Kaala Taj ka banavat ke suru se pehle Aurangzeb Shah Jahan ko jel mein phenka aur isliye Kaala Taj kabhi nahi banaya tha. (yeh hai Kaala Taja ka "artist depiction": http://www.khyberrestaurant.com/wp-content/uploads/2013/10/black-taj-01.jpg)

Phir, 2006 mein itihaskaron ne ek experiment kiya. Taj Mahal ke picche ek nadi hai aur is nadi ke kinare par bagh hai. Purnima ki raat ko archeologists yahan aake ehsas kiya ki chandni ki vajah se nadi mein Taj Mahal ka kala parchai dikhta hai. Purane itihaskaron ko shayad Shah Jahan ke irade theek se nahin samaj mein aayi, lekin aaj ke itihaskaron ko lagta hai ki yeh parchai hai Shah Jahan ka "Kaala Taj". (http://www.terragalleria.com/images/black-white/india/indi39325-bw.jpeg)

Mughal Rajya ka itihas bahut dilchasp hai!! :)

1 comment:

  1. Mughal itihas bahut rochak hai. sab se rochak baat yeh lagti hai ke in rajaon ne kitna kaam kiya. in ko Urdu, Farsi, Arbi, Hindi, aur kuch Sanskrit bhashayen aati thin aur yeh raja bahut adhyan kartey they. bahut likhtey they. shayeri, sangeet, bhawan nirman ka kaam bhi kartey they. aur saath me in rajaon ki kai kai patniyan hoti thin, bahot se bachey hotey they. rajya ka kaam aur ghar aur shatru aur apna nijzi (personal) kaam. itna sab karne ke liye samay aur sahas dono ki bahut aveshyakta hoti hai. shayed isi liye ve raja hotey they kyunke ve sadharan purush nahi they.

    ReplyDelete