Wednesday 22 January 2014

तुम
जो
पत्नियों को अलग रखते हो
वेश्याओं से
और प्रेमिकाओं को अलग रखते हो
पत्नियों से
कितना आतंकित होते हो
जब स्त्री बेखौफ भटकती है
ढूंढती हुई अपना व्यक्तित्व
एक ही साथ वेश्याओं और पत्नियों
और प्रमिकाओं में ! 




(Alok Dhanwa, Bhagi Hui Ladkiyan) 

Is kavita ko main aaj dekhi facebook par. All India Progressive Women's Association ke President ne isko share kiya tha. Agar aap log Indian rajnaitik ghatanao ko follow kar rahe hain, toh zaroor dekhe honge AAP party ka nayi vivad (controversy). Ye kavita us vadvivad ka ek prativacan hai. 

1 comment:

  1. kya yeh vivad Kerala ki nurses ke baare me hai? Kumar Vishwas ne 2009 me ek stage performance me kaha tha, Kerala ki kaali peeli nurseN. baat yeh hai ke Bharat me rang ki ahmiyat bahut hai. gori larki hi sundar ho sakti hai. kaali larki hamesha badsurat hai. kaala rang neechi jaat ka bhi prateek hai. gora hone ka arth hai oonchi jaat ka hona. Brahman aur pandit gorey hotey hain. ek baat aur bhi bahut rochak hai. jab uttar bharat ke log kehtey hain, BHARAT, to is me woh log dakhin bharat ko nahi dekhtey. Bharat ka matlab hai uttar bharat. yeh bahut rochak baat hai. dakhin bharat me log rang ke baarey me kya sochtey hain? kya dakhin bharat me ek kaali ladki sundar maani jaati hai?

    ReplyDelete